Tuesday, 16 August 2011

Na jaane

Na jaane wo kaisa lamha tha jab hum mile
Na jaane wo kaisa pal tha jab hum dost bane
Uss lamhe aur uss pal ka shukriya karti hun aaj
Jab meri kismat ne khul kar diya tha mera saath....

Aaj ehsaas hua ki intezaar ka fal mitha hota hai
Jise jo jab milna hai, mil hi jata hai
Yun hi aitbaar kho dete hain log iss duniya mein
Aitbaar karne par to sukha phool bhi khil jaata hai......... :)

My Friend :)

Har waqt yaad teri aayegi,
jab chhod ke hum jayenge

Har baar aankh bhar aayegi,
jab guzare lamhe yaad aayenge

Kaise bhula dun tumhe
aur tumhari dosti ko

Tumhare jane k baad
yehi yaadein to jeene ki aas jagayengi
Har pal, har lamha, har ghadi, har saans mein,
Tumhare saath ka ehsaas dilayengi.....

Thanks my friend for your Beautiful Friendship..!!

Zindagi (Life)......

Zindagi - ek shabd jisme gehrai hai
Ek lafz jis sang teri yaad aayi hai
Aur kuch nahi, yeh meri zindagi hai
jiske kan kan me teri khushboo samayi hai

Tha vo b lamha meri hi zindagi ka hissa
Dhundhta tha dil jab koi apna
Jiske bin pura na ho sake koi sapna
Tab tum aaye aur dosti ka hath badhaya
Thama vo hath to ek sapno sa dost mila
Jis sang har lamha yaadgaar bana
Kuch aisi hui dosti ki
Dono ek duje ki JAAN bane
Waqt beeta, hum dost gehre hue
Dekhne wale the sab sehme hue
Na tha koi darr, na koi chinta
Ek duje ka sath mile, thi bas yehi dua

Ek roj khayal aaya ki muje talaash thi kisi ki
To ehsaas hua ki jise tha dhundha vo tha samne
Haan tum, vo tum hi to the
Jis bin sapne the adhure
Jise tha maine chaha
Jise tha pana chaha
Ek din tumse sab the keh bhi diya
Par keh ke bhi kuch na tha kaha
Phir zindagi ne mod tha badla
Tumhe tha mere kareeb laya
      Itne kareeb jo na tha kabhi maine socha
      Phir kiya dur jo na tha kabhi maine chaha
Tum dur gaye kuch iss tarah
Ki zindagi ka har rang kho gaya
Har phool ki khushboo fiki hui
Har armaan so gaya

Aaj bhi hai intezaar zindagi ki ek karvat ka
Jis sang tere kadmon ki aahat sunai de
Aur teri yaad, yaad na ban kar reh jaye
Ek afsana ho jo har saans gungunaye.......!!